Tuesday, 21 March 2017

Aainey Ke Uss Taraf Kaun hai

aainey k uss taraf kaun hai
jo hoth toh hilaaye hai
pr maun hai
kaun hai

saath mere hasta hai
saath mere rota hai
mai jab bhi paas jata hu
wo hardam paas hota hai
wo andhere se darta hai
tab bahar nahi nikalta hai
mere hi umr ka h wo bhi
mai chalta hu
wo chalta hai
mai rukta hu
wo rukta hai
bada nakalchi sa hai wo
pr maun hai
pta nahi
kaun hai

uska bhi ghar mujhsa hi h
deewar swet rang ki
krishn ki tasveer hai
waisi hi budhi almaari
waisa hi galicha makhmali
kurshiyaan bhi ek si ek hi
wo bhaadi bharkam darwaja
aur wo paaydan
fooldaan
wo tik tik krti ghari
sab ek sa hai

tum bhai ho kya mere
kisne dur kiya humko
kisne chizen aisey baati
tum q maun ho
bolo naa
btao naa
kaun ho !!

3 comments:

  1. Bahut hi khubsurat..alfazon ki jadugari bikhari hai

    ReplyDelete
  2. Dil ki ye ek dasta hai
    Khud ki khud se Milan
    Aaine ki tarah saf hai do aaino ki milan
    Ek parchayi hai to dusra hai rup ....
    Khud ka aayna hai wo....

    ReplyDelete
  3. आईने के उस तरफ झाँकने से कुछ न होगा,
    वो जो है ही नहीं वो तेरा कैसे होगा |
    चाहता है गर इस मुश्किल से निकलना,
    तुझे तेरा पियारा आईना तोड़ना होगा |
    आईने में जो दिखता है,
    हमें उस की आदत है,
    तोड़ दिया गर आईना,
    सोचा है कैसे? फिर गुजरा होगा |
    ..... Jass

    ReplyDelete