aaj bahot dino baad kuch fursat k pal jo baitha
khud ko dekha ki kitna badal gya hu mai
aur ye zamana bhi badal gya shayad
mujhko badalta dekh
aaj bahot dino baad jab zameen par baitha
yaad aaya mujhko mera bachpan
jab maa machaan k pauey se mujhko baandh deti thi
bhaag naa jau kahin mai nazarey churakar
aur phir khol jaati thi ik aurat
wo thi nahi par mai ushe chachi kehta tha
aaj kone me padi mez jo bilkul saaf hai
yaad dilati hai mujhe mere school ki wo bench-desk
jispe mai pencil se tasveere bnata tha
aur fir saaf karta tha apne anguthey se thook lgakar
par mera angootha ganda ho jata tha
fir mai ushe deewaro pe ragarta tha
deewar pe aise angootho k bahutrey nisaan they
tab mai kaafi chhota tha
aaj mai battishwey manzil pe rehta hu
log kehte hai kaafi bda ghar hai
neeche garden area bhi hai
shaam me bachche jhoola jhulte hai
par yaad karta hu mai apna bachpan toh sab chhota lagta hai
mai jis makaan me rehta tha wo kiraaye ka tha
par kitna apna tha
waha mere makaan jaise saat aur bhi they
aangan tha maano aasmaan bhi chhota
patthar ka tha wo seedha aur ghuma hua patthar
gir jaane pe ghutne chhil jaate the
dard nahi hota tha yaad nahi kahi hota hoga
apni badi si car ko aaj dekhta hu toh yaad aate h wo din jab
sau metre chakkar lgakar duniya ghum leta tha
pitaji ki cycle par aage baith mai school jaate jaate

No comments:
Post a Comment