Jab hum saath nahi honge
Iss pal ko yaad karegi tu
Kuch hasne ko kuch rone ko
Usse fariyaad karegi tu
Ik baar mujhe pahucha de tu
Uss yauwan me jis yauwan me
Mera wo yara rehta tha
chala jaunga door ik roz
har dam mujhse wo kehta tha
Meri tasveere khojegi
tab k wo kuch raddi kaagaz
jis par mai kuch kuch likhta tha
hans legi do pal ko uhi
par fir fariyaad karegi tu
ek baar mujhe pahucha de tu
uss yauwan me jis yauwan me
mera wo yara rehta tha
mera v haal yahi hoga
tab padhunga teri wo chhitti
tera bachpan mera bachpan
simta hoga uss panne me
yaadein jitti taaza hongi
dil karega fir se milne ko
par mil naa paaye tab shayad
ye pal jo h wo abhi k h
inko g le tu g bhar k
kal kya hoga kisko h khabar
hum khud ko yaad rhe na rahe
tujhe hasane ko ab mai
har chota bahana khojunga
fir teri uss musqaan ko mai
dil k kone me rakh lunga
jab hum saath nahi honge
teri wo dabi dabi si hasi
mujhe hasayegi mujhe rulayegi
aur fir fariyaad karunga mai
ik baar mujhe pahucha de tu.. …